संदेश

सितंबर, 2008 की पोस्ट दिखाई जा रही हैं

jab teri julf se bach kar gujrey....

jab teri julf se bach kar gujrey.... ye hawa bhi kuch kam shabab lagey jab tak tere labo se babasta na ho... badi bemaja ye sham-e-sharab lagey... jab tak teri bato mein mera jikr na ho... kuch befijul apni hasti-e-aftab lage... jab tak tu mere laut ane ki rah na take... har safar mujhe apna be-sabab lage... ab jab se tera nata mujhse yu juda... apna bhi rutba mujhe lajawab lage...

beete lamhe...

main beete lamho ke pehlu mein.. khud ko fir is tarah aaj apaata hu.. fir kahi apni tanhai k saayo mein.. bamushukil main muh chupata hu.... aj gujar rahi hain fir bhuli bisri yaadien.. mujh par parat dar parat.... har parat khulte hi.. kuch aur apne gunaho ke tale main daba jaata hu...

तन्हाई उन आँखों की... अब, मेरी भी जिंदगी हर सूं हुई..

चित्र
आज जो मैं आईने के करीब से गुजर गया जाने क्यों अक्स देख अपना कुछ सिहर गया खुद से जो मिली नजरे तो झुक गयी दफतन जाने क्या था साया तो आँखों में उतर गया ... शायद मेरी बेवफाई ही आज इस तरह रूबरू हुई... मोहब्बत याद आई ... जो मेरी वजह .. बेआबरू हुई.. किसी की उठी निगाहें नजर आई मेरी झुकी नजरो में तन्हाई उन आँखों की... अब, मेरी भी जिंदगी हर सूं हुई.. ...आलोक मेहता.. aj jo main aaine k kareeb se yu hi gujar gaya... jane kyu apna hi aks dekh main kuch sihar gaya... khud se jo mili to najre jane jhuk gayi yu hi... jane kya saya tha. jo meri ankho mein utar gaya... shayad meri wo bewafai hi aj is tarah rubaru hui mohbbat yaad ayi, jo meri wajah, be-abroo hui... kisi ki uthi nigahe najar aayi meri juhki najro mein... tanhai un ankho ki... ab meri bhi jindagi.. har su hui...

kuch din hue ye dagar, hamari rah-e-manjil thi.

चित्र
unki gali se gujra to ye khyal aaya.... kuch din hue ye dagar, hamari rah-e-manjil thi... najar padi chauk-chaubaro par fir yu hi... aur waha har shay ab kuch sangdil thi... har surat har najar mein ek ajnabi pan pasra tha... aur is bhid mein wo ek shaks meri hi kaatil thi... jane kyu har ishare par wo anjaan se najar aate the... aisa to na tha. ki unki najre ulfat samajhne ko jaahil thi... usne ek najar dekh kar jo deewana banaya tha mujhko.. wo ada-e-nigaah hakikat mein taarif k kaabil thi.... ab andaja hua, pehle to kabhi gaur na kiya tha... ki badi suni hai ab ye , jindagi jo mujhko haasil thi...

Is kadar naaraz hain wo mujhse

is kadar naaraz hai wo mujhse ki ladne ke fakat bahane dhundta hai ik pal ka sath gawara nahi mera par yado me, gujre jamaane dhundta hai Khuda ki rehmat se mayus wo kab tha magar ab har kuche me wo maikhane dhundta hai ek anjani kasmasahat pata hai har rishte mein atit mein the jo, wo khule yaarane dhundta hai ek jamaana hua is dunia se gam kha raha tha wo aaj sab dushmano ko wo hisaab chukaane dhundta hai mana aankho mein rehti thi uski nami hardum magar hasne ka ab wo bhi bahane dhundta hai

जो राह में फूल ही मिलते.. साथ निभाना कुछ मुश्किल था...

चित्र
जो राह में फूल ही मिलते.. साथ निभाना कुछ मुश्किल था... पत्थरों पे एक दूजे के सहारे ने... हमे खूब मिलाये रखा... मुश्किलों में मिली हमारे रिश्ते को नयी गहराइयाँ... सहूलियतो ने तो दरमियान यार, एक फासला बनाये रखा... एक दूसरे के ग़म बाँट कर कुछ नजदीकी का एहसास हुआ खुश थे तो खुद को उनसे दूर.. खुद में ही छुपाये रखा... इन तकलीफों ने बक्शे हमारी गुफ्तगू को दुआ-सलाम से आगे के मकाम कि अब तलक तो बेफिजूल के तकल्लुफ ने रिश्तो में अजनबीपन जगाये रखा... आलोक मेहता... ********************************************************************************************* jo rah mein phul hi milte to sath nibhna kuch mushkil tha... pathro pe, ek dusre ke sahare ne hume khub milaye rakha.... muskhilo mein mili hamare rishte ko nayi gehraiya.. sahuliyato ne to yaar darmiyaa ek faasla banaye rakha.... ek duje ka gam baant kar kuch aur najdiki ka ehsaas hua... khush the to khud ko unse dur khud mein hi chupaye rakha... in taklifo ne bakshe hamari guftagu ko dua-salam se aage ke makam... ki ab tak be-fijool ke takalluf